Трое разгневанных мужчин Tridev 1989 Main Teri Mohabbat Main
Main teri mohabbat mein paagal ho jaaunga Main teri mohabbat mein paagal ho jaaunga Mujhe aisa lagta hai tujhe kaisa lagta hai Ho o o main teri nigaahon se ghaayal ho jaaungi Main teri nigaahon se ghaayal ho jaaungi Mujhe aisa lagta hai tujhe kaisa lagta hai
Kuchh din se main toota toota rahata hoon Apane dil se se rootha rootha rahata hoon Kuchh din se main khoyi khoyi rahati hoon Jaagu bhi to soyi soyi rahati hoon Deewani aaj nahi to kal ho jaaungi Main teri nigaahon se ghaayal ho jaaungi Mujhe aisa lagta hai tujhe kaisa lagta hai
Ji chaahe teri aankhon mein kho jaaun Aaj abhi is waqt main teri ho jaaun Kab tak aakhir ham milne ko tarsenge Kab saavan aayega kab baadal barsenge Tu mast pavan ban jaa main baadal ban jaaunga Main teri mohabbat mein paagal ho jaaunga Mujhe aisa lagta hai tujhe kaisa lagta hai
Tujh bin lab par koi naam nahi aata Dil ko tadpe bina aaraam nahi aata Donon taraf lagi hai aag baraabar ye Rakh degi bas hamko raakh banaakar ye Tu bhi jal jaayegi main bhi jal jaaunga Main teri mohabbat mein paagal ho jaaunga Mujhe aisa lagta hai tujhe kaisa lagta hai Ho o o main teri nigaahon se ghaayal ho jaaungi Mujhe aisa lagta hai tujhe kaisa lagta hai.