Duniya ki tarah, rasmon ki tarah Vaadon ki tarah, kasmon ki tarah Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge
Duniya badalti hai, mausam badalte hai Lekin mere dil ko badal nahin paaoge
Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge
Aasmaanon ke aage tumne vaada kiya hai Dil ke badle mein maine pyaar tumko diya hai
Dharti ki, ambar ki kasam Mujhko hai tere sar ki kasam Nazrein badalti hain, sapne badalte hain Lekin meri dhadkan ko tum dhadkaaoge
Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge
Meri pehli tamanna, aakhri pyaar ho tum Rooh mein bas gaye ho, mere dildaar ho tum
Aise hi tumhe chaahoonga main Tumhe dulhan bhi banaaoonga main Sehre badalte hain, khushboo badalti hai Pal pal meri saanson ko tum mahekaaoge
Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge
Tumne dhoka diya to kuch bhi kar jaaoongi main Tum judaa jo hue to dekho mar jaaoongi main
Meri manzil teri raahon mein hai Meri jannat teri baahon mein hai Raahi badalte hain, raste badalte hain Main daudke aaoonga jo mujhko bhoolaaoge
Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge Mausam ki tarah tum bhi badal to na jaaoge Badal to na jaaoge Badal to na jaaoge Badal to na jaaoge.