--MALE-- (Agar main kahoon, mujhe tumse mohabbat hai Meri bas yehi chaahat hai to kya kahogi) - 2
--FEMALE-- Main tumse kahoongi is baat ko agar tum Zara aur sajaake kehte, zara ghuma phiraake kehte To achha hota
--MALE-- Agar main kahoon Tumko jab dekhoon lagti ho jaisa nayi Hont hain pankhadi phool ki Aankhen jaise jugnu chamakte hue Soche mera yeh dil dhadakte hue Agar main kahoon Agar main kahoon, yeh jo chehra hai Jaise koi chaand hai to kya kahogi
--FEMALE-- Main tumse kahoongi Mujhko bhoole se bhi chaand tum na kaho Chaand mein to kayi daag hain Mujhe phool na kehna voh murjhaate hain Jugnu bhi na kehna voh kho jaate hain Yeh baatein puraani hain jo mujhko sunaati hain Kisi aur ada se kehte, zara ghuma phiraake kehte To achha hota
--MALE-- Agar main kahoon, mujhe tumse mohabbat hai Meri bas yehi chaahat hai to kya kahogi Agar main kahoon Baatein sunke tumhaari main hairaan hoon Jo bhi kehna hai kaise kahoon Lagta tumhe kuch bhi achha nahin Sach ko bhi kehti ho sachcha nahin
--FEMALE-- Agar main kahoon Agar main kahoon tumhe pata nahin hai kyoon Hai pyaar mujhe bhi tumse to kya kahoge
--MALE-- Main tumse kahoonga mere dil ka hai yeh kehna Humko hai saath mein rehna
--FEMALE-- Yeh dono ke dil mein hai na To phir kyoon kehna